Mehfil e Milad Sharif sallallahu alaihi wasallam ka quran wa hadees se suboot
Chand aadmiyon Ka Ek Majlis Mein Jama hokar Huzur Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki paidaish aapke nasab wa khandan aapke fazaail wa Kamalat aur aapke mojezaat Ka Bayan karna aur Aakhir mein aap per salato Salam padhna phir Dua per is Majlis ko Khatam karna isi qism ki majalis Aur jalson Ka Naam Mehfil e Milad Sharif hai
Quran Majeed ke motala se Pata Chalta Hai Ke is qism ke mazameen Bahut Si aayaton Mein Byan kiye gaye hain jinko Milad Sharif Mein Byan Kiya Jata Hai
Maslan
beshak tumhare pass Tashreef laae tum mein Se woh Rasool Jin per Tumhara mashaqqat Mein padna Giran Hai Tumhari bhalai ke chahne wale musalmanon per bahut Meherban aur Reham Farma Ne Wale (para 11 Surah taubah Ayat 128)
Is aayat Mein lafz 'Ja.a' (aaye)farma kar aapki Paidaish Aur Duniya Mein Aapki tashreef Awri ka tazkira hai aur 'min anfusikum' ke lafz se aapke nasab wa Khandan ka zikr farmaya gaya ke aap Arabi Qureshi Hain phir aapke ikhlaq wa Aadat Ka Bayan Kiya Gaya ke ummat ka Kisi mashaqqat wa musibat mein pad Jana aap per bahut Giran Hai phir aapke Fazaail ka Byan hai ke aap Momineen per bahut Meherban aur Reham Farmane Wale hain garz Jo mazameen Mehfil e Milad Sharif Mein amuman Bayan kiye Jaate Hain woh Sab is Ek aayat mein jama hain
Tafseer Khazaenul irfan mein is aayat ki tafseer mein likha hua hai ke is aayat mein aapke milad Mubarak ka Bayan hai ke tirmizi ki hadees se yeh bhi sabit hai ki Syyed e alam Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni Paidaish ka bayan member per Khade hokar Bayan farmaya (khazaenul erfan Safa 247 Surah taubah)
Hazrat Abbas radi Allahu anhu Ravi Hain Ki woh Huzoor sallallahu alahi wasallam ke pass Hazir hue to Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne member per Khade hokar farmaya Ke Main Muhammad Bin Abdullah bin Abdul muttalib hun beshak Allah Tala Ne Tamam makhlooq ko Paida farmaya to mujhe unmen sabse behtareen Mein Rakha phir makhlooq ko 2 jamaton (Arab wa Ajam) Mein taqseem farma Diya to Mujhe un donon mein se behtareen Arab Mein Rakha phir arbon ke chand qabaail banaa Diye to mujhe un qabaail mein se sabse behtareen (Quresh) Mein Rakha phir un Quresh Ke Chand Ghar Bana Diye to mujhe un gharon mein se sabse behtareen Ghar (Banu Hashim) Mein Paida farmaya To Main Apni zaat aur ghar ke Aitbaar se Tamam makhlooq Mein sabse behtareen hun is Hadees ko Imam tirmizi ne riwayat kiya hai (mishkat jild 2 Safa 513 Ba hawala tirmizi)
Is Tarah Ek dusri Hadees mein hai ki Huzoor Sallallahu Alaihi wasllam Ne farmaya Ke main tum Logon Ko Apne Mamla Ka ibtedai Hal Batata hun main Hazrat Ibrahim alaihis.salam ki Dua hun aur mein Hazrat Isa alaihis.salam ki basharat hun aur Main Apni Man ka woh Khwab hun jo Meri Maa Ne Meri Paidaish ke Waqt Dekha Tha Ki Meri Man Ke Samne Ek Noor zahir hua Ke us ki Roshni Mein Sham Ke Mahallat Meri Man Ke Samne Zahir Ho Gaye (mishkat jild 2 Safa513)
Gaur Kijiye ke is Hadees Mein wohi Sab Mazameen Hain Jo Mehfil e Milad Sharif Mein Bayan kiye Jaate Hain aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne in donon Hadeeson ko majma Aam Mein Bayan farmaya To zikr e Milad Sharif ko majma Aam Mein Bayan karna bhi sabit ho gaya lihaza Mehfil e Milad Sharif ki Asal Quran o Hadees se sabit hai aur Huzoor Sallallahu Alaihi wasllam ke zikr e Jamil Ke Liye Majma Jama karna to Allah Tala ki Sunnat aur uska muqaddas Tariqa hai ke Allah Tala Ne Roz e azl Mein Tamam ambiya Alaihimus Salam ki arwah Muqaddasa ko ek majma Mein Jama farma kar Huzur khatimun Nabiyyin Sallallahu Alaihi wasllam per Iman laane aur Unki nusrat karne ka sab nabiyon se Ahad liya Jis Ka tazkira Quran Majeed mein maujud hai aap bhi padh Lijiye " aur Yad karo Jab Allah ne Paigambaron se unka yeh ahad liya Ke Jab Main Tumko Kitab aur hikmat dun phir tashreef Laye tumhare pass woh Rasool ke Tumhari kitabon ki tasdeeq farmae to Tum zarur zarur us per Iman Lana aur zarur zarur uski madad karna Kyon Tumne iqrar Kiya aur us per Mera Bhari zimma liya sabne arz ki Ke Humne iqrar Kiya To Allah ne farmaya Ki Tum Ek dusre par gawah ho jao Aur Main Khud bhi tumhare sath gawahon mein hun to Jo Koi is ahad se phir Jaaye to wahi log fasiq hain ( para 3 SurahAl Imran aayat 81 82)
Baharhal Mehfil e Milad Sharif ka Suboot Quran aur Hadeeson se sabit hai aur is ba Barkat mehfil ka Inkar karna sakht mehrumi aur Ala darje ki shaqawat Aur deen Mein in munkiron ki jahalat wa safahat ka bad.tareen namuna hai !
Post a Comment