Ad
Scroll to continue reading
Ad

What is the best day for House Foundation as per Islam? makan ki bunyad


Allah Ta’ala ne insan ko beshumar nematon se nawaza hai, unhi nematon mein se ek bahut badi nemat ghar bhi hai. Ghar sirf eent aur pattharon ka naam nahin balki insan ke sukoon, aaram, parde aur mehfooz zindagi ka markaz hota hai. Is mazmoon mein ghar ki ahmiyat, uski qadr aur Islam mein ghar ki buniyad rakhne ke bare mein rehnumai bayan ki gayi hai.

Assalamu Alaikum Ham jis ghar mein rehte hain makan mein rehte hain uske bare mein 3 baten main aapko batata hun sabse pehli baat ghar yeh bahut badi nemat hai jo hamen Allah Ta’ala ne ata farmaya hai.

Aur dusri baat ghar ki ahmiyat kya hai aur teesri baat ke jab ham ghar banate hain ghar ki buniyad rakhte hain yani ke house foundation hamen kis din rakhna chahiye aur behtar kaun sa din hai. Hamen Islam se aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam se ghar ki buniyad rakhne ke bare mein kya rehnumai milti hai woh batatna chahta hun.

Ghar Ek Azeem Nemat

Insan ke liye ghar Allah Ta’ala ki azeem nemat hai aur Allah Ta’ala ne Quran Majeed mein is sahulat ki dasteyabi ko apna inaam qarar diya hai. Farman e Bari Ta’ala hai (tarjuma) aur Allah ne tumhen ghar diye rehne ko (Surah Nahl aayat 80)

Allah Ta’ala is aayat mein jiska aapne tarjuma padha usmein apne bandon par apni azeem nemat ka zikr farma raha hai ke usne unki rahaees ke liye ghar banaye jis mein woh panah lete hain, chhupao pakadte aur har qism ki sahuliyat se mustafeed hote hain aur insan ghar mein apni zindagi ko mehfooz rakhta hai. Ghar insan ki paidaish ki jagah aur uske aaram aur sukoon ka markaz hai aur apne khandan ke sath waqt guzarne ke liye ala maqam hai aur uski khalwat ki jagah hai. Tamam masaib aur aalaam se choor hokar insan ko aakhir apne ghar hi mein sukoon naseeb hota hai aur ghar hi insan ke biwi betiyon ke liye parda ki zamanat hai. To yaqeenan ghar insanon ke liye Allah Ta’ala ki bahut badi nemat hai.

Ghar Ki Ahmiyat Kya Hai

Jiske pass ghar hai makan hai bangla hai aap us se ghar ki ahmiyat ke bare mein nahin pata kar sakte, nahin maloom kar sakte. Agar aapko ghar ki ahmiyat ke bare mein pata karna hai, maloom karna hai ki ghar ki ahmiyat kya hai to unse maloom karo jinke paas ghar nahin ya un logon se poochho jo log footpath par aur parkon par sote raat basar karne par majboor hote hain ya un se poochho jo dar badar thokren khate hain aur khema mein waqt guzarte hain ya un logon se jo bagair ghar ke khule aasman ke neeche waqt guzarte hain tab aapko ghar ki qadar aur ghar ki qimat ka andaza hoga.

To yaqeenan ghar makan ki bahut badi ahmiyat hai aur jab humko Allah Ta’ala ghar jaisi nemat ata farma de to ham jis qadar aur jitna bhi Allah Ta’ala ka shukr ada karen kam hai.

House Foundation Kab Rakhna Chahiye

Ab teesri baat yah hai ke humko Allah Ta’ala makan ke liye plot ya zameen de de aur makan banane ka hamare pass jugaad ho jaaye intezaam ho jaaye to hamen makan ki buniyad house foundation kab rakhna chahiye kaun sa din achcha hai kaunsa din sahi hai house foundation ke liye makan ki buniyad rakhne ke liye to iska jawab hamen Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam mein mil jata hai. Hadees Mubarak mein house foundation yani ke makan ki buniyad rakhne ka sahi din aur kaun se din mein rakha jaaye uska jawab hamen mil jata hai.

Itwar duniya ke dino ka pehla din hai. Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu farmate hain ke jab Mehboob e Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam se Itwar yani (Sunday) ke mutalliq poochha gaya to aapne farmaya yeh din bone aur imarat banane ka hai. Sahaba Ikram ne arz kiya ye kis tarah Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam? Aapne farmaya ke Itwar ko Allah Ta’ala ne duniya aur uski imarat ki ibtida farmai (Gunyatut Talebeen j2 s73)

Isiliye Itwar ke din khet bona aur darakht lagana aur makan ki tameer karna baais e barkat hai.

To pata chal gaya agar ham jab naya makan banate hain tameer karte hain house foundation rakhte hain to Itwar ke din rakha jaaye ye baais e barkat hai aur behtar hai naye makan ki tameer karne ke liye.

Mai ummid karta hun ki aap samajh gaye honge ke makan ke bare mein ke makan Allah ki azeem nemat hai, makan ki bahut ahmiyat hai aur hamen makan ki buniyad house foundation kab rakhna chahiye.

Khatma

Allah Ta’ala hamein apni di hui nematon ki qadr karne ki taufeeq ata farmaye aur har haal mein apna shukr ada karne wala banaye. Allah Ta’ala har musalman ko sukoon wala ghar ata farmaye aur hamare gharon ko rahmat, barkat aur aman ka markaz banaye. Aameen Ya Rabbal Aalameen.

Agar post pasand aaye to apni rai comments box mein zarur den aur ise share bhi zarur karen!

Yah Bhi Padhen
Tag:
Latest Post
  • What is the best day for House Foundation as per Islam? makan ki bunyad
  • What is the best day for House Foundation as per Islam? makan ki bunyad
  • What is the best day for House Foundation as per Islam? makan ki bunyad
  • What is the best day for House Foundation as per Islam? makan ki bunyad
  • What is the best day for House Foundation as per Islam? makan ki bunyad
  • What is the best day for House Foundation as per Islam? makan ki bunyad
Post a Comment
Ad
Ad
Close Ads
Ad