BREAKING NEWS
ADVERTISEMENT

qaza namaz kab padhna chahiye aur kab nahi padhna

 




Qaza namaz ka waqt

Qaza namaz ka koi waqt muqarrar Nahin hota magar 3 auqat main teen waqt main qaza namaz Nahin padhna Chahiye aur teen waqt ye hain tulu Aftab  Yani Suraj nikalne se 20 minut tak aur dusra zawal ke waqt aur teesra gurub aaftab ke waqt ye teen waqt main qaza namaz Nahi padhna Chahiye iske ilawa jab bhi padhega Bari us zimma ho jayega 

ab yah bhi samajh len ki 

Ada namaz kise kehte Hain aur qaza namaz kise kehte Hain aur eyada karna kya hota hai

 tu Ada namaz woh hai jo waqt ke andar namaz padhna Ada namaz kehlati hai qaza namaz waqt guzar jaane ke bad namaz padhna qaza namaz kehlati hai aur isi tarah se eyaada karna Yani agar Kisi Amal se koi kharabi paida ho jaaye to us kharabi ko dur karne ke liye dobara namaz padhne ko eyaada kehte Hain 

(note) har woh ibadat jiska ek khas waqt muqarrar hai uske andar us ibadat ko Baja Lana Ada kehlata hai aur waqt guzar jaane ke bad Ada karne ko qaza kehte Hain 

 aur bhi Chand zaroori masail bhi samajhte chalen 

sahibe tarteeb  Yani Woh shakhs jiski balig hone ke BAAD se uski lagatar panch namazen qaza na hui hon use sahibe tarteeb kehte Hain 

Aur Woh Khush qismat insan jisne balig hone par namaz padhna shuru ki aur uski Kabhi 5  namazen qaza ho gain aur chhati namaz ka waqt guzar gaya tu ab woh Sahibe tarteeb nahin rahega Sahibe tarteeb ki namaz fajar rah gai hai lekin jab wo namaz zuhar pad raha tha ki use yad aaya ki meri namaz fajar reh gai hai to uski namaz zuhar batil ho jayegi lihaza pehle woh namaz fajar ki qaza Kare bad mein zohar padhe isi Tarah agar use zuhar padh Lene ke baad Yaad Aaya ke uski namaz fajar rehti thi is yad aajane ke sath hi uski padhi hui zuhar batil ho jayegi Woh naye sire se pehle namaz fajar padhe aur phir uske baad zuhar dobara padhe pehli padhi hui namaz nafil ho jayegi

 qaza namaz 

Jo namaz qaza karte hain bahut hi sakht waeed Hai is per aur woh sakht gunahgaar Hai bila uzr sharai  namaz qaza kar dena bahut sakht gunah hai is per farz hai uski qaza padhe aur sacche Dil se toba Kare Tu yah durust aur qabil e etbaar hai lekin agar toba bhi Kare lekin gunah se bhi baaz Na Aaye To yah tauba Nahin balke Hadees Mubaraka mein aata hai ki gunah per qaaim rehkar astagfar karne wala us shakhs ki manind hai jo Apne Rab se thaatta karta hai Allah Hu Akbar 

Jaanbujhkar namaz Ka qaza Karna sakht gunah hai 

han lekin Kabhi aisa waqt a jaaye ke use  andesha ho ke dushman usko maar dega to iski wajah se waqti namaz qaza kar sakta hai basharte ke Woh Kisi Tarah bhi namaz padhne par qadir na ho lekin is Surat main bhi agar Woh chalne ki halat main namaz Ada Kar sakta tha lekin usne Ada na ki to woh sakht gunahgaar Hoga 

To koshish Karen ke har haal main namaz Ada padhen

Post a Comment
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT