Namaz ke arkan aur aur jadeed science Ki tehqiq mein unke fayde
Niyat bandhna namaz ki ibteda niyat se Hoti Hai niyat karne ke dauran hathon ko kano ki lau tak uthakar bandh liya jata Hai jab hathon ko kano tak uthaya jata Hai To baazuon gardan aur Shane ke patthon ki warzish karana Maqsood hota hai aisi warzish naujawanon ke liye intehai mufeed kheyal ki jaati Hai mazeed bar aan yeh iqdamat Dil ke daure aur falij ke hamle se bhi tahaffuz faraham karte hain
niyat bandhne mein aur takbeer e tehreema kehte waqt yeh hukm bhi Hai sar ko niche na jhukaya jaye balke niyat padhte waqt sar ko bilkul sidha rakh kar samne ki taraf dekhna chahiye kyunki agar is dauran sar ko niche jhukaya jaye ya daen baen jhukaya jaaye to hathon ko Kano tak uthane ke fawaid hasil Nahin ho paate jadeed research ke mutabiq is dauran sar ko sidha rakhkar niyat bandhne ke bad jhukane se gardan ke Mohron ke marz se nijat milti hai
Qayam karna qayam ke dauran donon paon ke darmiyaan munasib fasla Rakh kar dayan hath baen hath per bandh kar khada hua jata Hai daen hath ki musbat aur baen hath ki manfi lehron ke imtezaj Ka asar Nizam e aasab tak pahunchta Hai jisse gurde aur guda faukul kulliya qawi ho jaate Hain aur iske alawa jismani quwwat qawi aur muharrak ho jaati Hai agar qayam ke dauran donon paon ke darmiyaan munasib fasla se kam fasla rakha jaaye ya bahut ziyada rakha jaaye to iske asrat aasab par padte Hain jiski wajah se Jism Ka zeri (niche Ka) hissa kamzor padne lagta hai bilkhusus mard ke Jism mein maujud khasiye aur unki beruni jild jakdan Ka shikar ho sakti Hai jiski wajah se unke andar tolidi mawad banane wala nizam disturb ho jata hai jadeed research ke mutabiq qayam Ki halat mein khade rehne ki warzish agar rozana 45 minut tak ki jaaye to is se dimag Dil aur aasab ko zabardast quwwat aur taqat milti Hai Is wajah se badan mein mazbooti aur quwwat Muda fiat mein izaafa hota Hai qayam ke dauran apni tamam tar Tawajja ek jagah markooz rakhne se dimagi salahiyaten parwan chadhti Hain aur insan padhne likhne ke mamlaat mein bahut behtar ho jata hai
ruku qayam ke bad ruku ka marhala aata hai ruku ke dauran hukm hai ki ungliyon ko faila kar ghutnon ko pakda jaaye aur wazan ghutnon per dala jaaye aur kamar bilkul sidhi Rakhi jaaye is halat mein Chand lamhe rehne se kamar ke aasab v azalaat ko taqwiyat milti hai aur kamar dard aur Mohron ki kharabi se tahaffuz milta Hai iske alawa ghutnon ke dard se bhi nijat mil jaati hai ruku se dimag aur aankhon Ki taraf dauran khoon ke bahao ki wajah se dimag Ki Kar Kardgi mein izaafa hota Hai dauran ruku hath niche hone ki wajah se kandhon se lekar hath ki anguliyon tak pure bazuon Ki warzish ho jaati Hai Aur Is Tarah se bazuon ke putthe aur jod mazboot ho jaate Hain jadeed tehqiqat ke mutabiq Sahi tariqe se ruku karne se mada qawi nizam inhezam durust aanton Ki Kar Kardgi behtar Aur Dil ke azalaat ko taqat milti hai iske alawa pet aur kamar ke makam se charbi kam hone lagti Hai jiski wajah se (apple shape) motapa kam ho jata hai aur imraaz Dil se tahaffuz hasil ho jata hai jadeed research ke mutabiq Jism mein charbi do Tarah se zakhira hoti hai ek seb Ki Tarah kamar ke ird gird aur dusri nashpati Ki Tarah kulhon ke ird gird aur in donon mein se seb wali shape ka motapa Dil ke awaariz ka ziyada pesh khema banta hai
sajda sajda karne se dimag ki sooriyano ki taraf dauran e khoon badh jata hai aur sirf sajde ki kaifiyat mein hi dimag dimagi aasab aankhon aur sar ke digar hisson ki taraf khoon ki gardish mutawazi ho jaati Hai jis se dimag aur basarat per acche asrat murattab hote hain chehre Ki taraf dauran e khoon se rukhsar khubsurat hote hain aur un par se jhuriyan dur hone lagti hain lamba sajda Karne se chehre Ki khubsurti mein izaafa hota Hai Aur yeh surkh aur chamakdar rehta hai aur naujawanon ke chehre per nikalne wale Dane khatm ho jaate Hain sajda ki halat mein hukm hai ke hathon Aur anguliyon ko sidha rakha jaaye kyunki tamam din hathon ko kaam kaaj ki masrufiyat ki wajah se sidha Nahin rakha ja sakta hai isliye sajde ke dauran ungliyon aur hathon ko sidha rakhne se ye apni asal hayyat par qaim rehte Hain aur unki giraft mazboot rehti hai Sahi tariqe se sajda karne se reedh ki haddi mazbut Aur lachakdar ho jaati Hai jiski wajah se Mohron ka munasib fasla qayam rehta Hai Mazeed bar aan Sahi tariqe se sajda karne se tangon ke jod mazboot hote hain ranon ka zaaid gosht kam hone lagta hai aur badha hua pet bhi kafi had tak control ho jata hai sajde ke dauran peshani aur naak ko zameen per rakhne ka hukm hai is wajah se dimag ki lehren zameen ke andar dorne Wali barqi Ro se barahe rast milkar dimag ki taqat mein Kai guna izafa kar deti hain jis se dimagi Salahiyat badhti hai aur dimag pur sukun ho jata hai aur likhai padhaai mein ziyada Dil Lagta Hai
jalsa donon sajdon ke darmiyan baithne se ghutne aur pindliyan mazbut hoti hain aur in mein dauran e khoon munasib ho jata hai aur bachche har Tarah Ke jismani khel kood mein ba aasani hissa le sakte hain
Tashahhud donon sajde Karne Ke baad tashahhud ki halat mein baitha jata Hai baithne ka tariqa Hai ek paon ko khada rakhkar dusre paon per baitha jaaye is halat mein baithne se paon tango aur pindliyon ka dauran e khoon behtar hota Hai jiski badolat tangon ka dard aur un men Pai jaane wali aasabi kamzori Rafa ho jaati Hai aaj ke daur ka ek Aam masala arukun Nisa (siya tika) ko is HAL mein baithne se bahut ziyada ifaqa mehsus hota Hai
Salam pherna namaz ke aakhir mein salam phera jata Hai salam pherte waqt hukm hai ke daen taraf salam pheren to dahine kandhe ko dekhen aur baen taraf salam pheren to baen kandhe ko dekhen salam pherte waqt gardan ke daen aur baen taraf ke azalaat kaam karte hain jiski wajah se un azalaat ko quwwat milti hai aur yahan se jaane wali ragen mutawazan rehkar dauran khoon ko normal kar deti Hain
To yah fayde Hain jadeed science Ki tehqiq mein namaz ke arkan ke
Ham sabko Chahiye ki namaz ki pabandi Karen !
Post a Comment