khutba e juma main do zanu baithana mustahab hai
Assalamu alaikum jab namaz e juma main khutba hota hai to aadmi ko kis andaz main baithna chahiye aur kis tarah baithana khutba e juma ke adab main se hai aaiye jante hain
kya farmate hain ulama e Deen v muftiyan e Shara mateen masala zel ke bare main
juma ke khutba ke waqt khutba awwal main log hath bandh lete hain aur khutba sani mein chhod dete Hain kya aisa karna sahi hai
Al jawab
han aisa karna durust hai Jis waqt Imam khutba ke irade se member ki taraf chale usi waqt se zikr tasbih kalam tark Karke Hama tan khateeb ke taraf mutawajjah ho jaen
khutba jab misl namaz hai to namaz hi ki Tarah baithna durust Hoga aur namaz ki halat mein hath bandh kar aur chhod Kar donon Tarah baitha jata Hai
(raddul muhtar babul juma)
Khutba se mutalliq kuchh zaruri maloomat bhi mulahiza hon
jab khutba shuru ho jaaye to tamam hazreen ko khutba Ka shuru se aakhir tak sunna wajib hai khuwah hazirin khatib ke nazdeek baithe hon ya khateeb se dur aur khuwah khutba sunai de ya Na sunai de halat e khutba mein aisa koi kaam karna jo khutba sun ne main khalal andaaz ho makrooh tehrimi hai yani khana Pina chalna firna bat chit Karna salam karna ya salam ka jawab dena zikr tasbih Quran majeed ya nafil padhna ya Kisi ko Sharai masala batana wagaira umoor Jis Tarah namaz mein mana Hain isi Tarah halat e khutba main bhi mana Hain aur jo umoor namaz ke andar makrooh Hain woh khutba ke waqt bhi makrooh hain
agar koi shakhs sunnat padh raha ho aur is halat mein khutba shuru ho jaaye to usko chahie ki sunnat ikhtesar ke sath pura kar le aur agar juma ki sunnat shuru ki thi ke imam khutba ke liye apni jagah se utha Charon rakat Puri kar le (alam giri ba hawala Bahare shariat)
khutba sun ne walon ko chahie ki qibla ru baithen aur khateeb ki taraf Mutawajjah rahen
Khutba sun ne ke waqt do zanu Yani Jis Tarah namaz mein baithte Hain isi tarah baithna mustahab hai agar khutba ki awaaz na aati ho yani khutba sunai na de tab bhi khutba ki hi taraf kaan lagaye rahen awaaz na aane ki wajah se baat chit ya zikr tasbih wagairah main mashgool na hon
Khutba ke waqt Kisi ko kuchh padhne ya baat karne se mana na Karen (albatta ishaara se khamosh kar den to mazaiqa Nahin )
ummid hai ke is tehreer ko padh Kar aapko zaroor fayda Hoga aur aapki maloomat main bhi izafa hua Hoga !
Post a Comment