qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

bande ko sab se ziyada khuda ki nazdiki us waqt hasil hoti hai jis waqt woh sajde main hota hai lihaza namaz qaim karo



 Namaz ke Amal aur uske fawaid

Irshad e Bari tala Hai ki ahtemam Kiya Karo tamam namazon ka aur darmiyaan wali namaz Ka to khas khyal rakha karo Allah ke aage adab se khade Raha karo

(S.baqrah a.238)

 Allah tala ke Habib hazrat Muhammad sallallahu Alaihi wasllam ka farman Hai hamare aur Munafiqeen ke darmiyaan Jo ahdo peman hai woh namaz Hai jisne namaz ko tark Kiya usne kufr Ka irtekab Kiya (tirmizi nisai ibn maja) sarwar e kainat sallallahu alaihi wasallam ka irshad girami hai ki namaz  deen ka sutoon hai aur ismein 10 umda baten Hain

1) duniya Aur akhirat mein chehre Ka noor 

2) nek kamon mein Dil ki sooz o tadap 

3) tamam bimariyon se badan ki hifazat 

4)Allah tala ki rehmat nazil hone ka sabab aur ibadat ke aasman per pahunchne ki kunji 

5) qabr ki tariki aur tanhai mein behtreen madadgar 

6)meezan Amal mein neki ke palde ke bhari hone ka zariya 

7) jannat ki nematon ke husool ka sabab  

8) aatish e dozakh se nijat aur masaaib v aalaam se rihaai 

9) qayamat ke din parwar digar aalam ki khushnudi ka zariya 

10) didar e khudawandi ka husool

aur mazeed namaz ke fayde

11) pull sirat per jaldi se guzarne Wali Hai

12) farishton ki mehbub cheez hai

13) ambiya Alaihimus salam ki sunnat hai

14) imaan Ki jad hai

15)badan ki rahat Hai 

16) duahmanon ke muqable ke liye hathyar hai 

17) qabar Ka Chirag hai 

18) maqbooliyat dua hai

19) munkar nakeer ke jawab main aasani Karne wali hai

(Tambihul.gafeleen)

aur hazrat Usman ghani Razi Allahu anhu ka irshad hai ki namaz panch gana ki pabandi Karne Wale ko "9" chizen inam mein milengi (1) Allah tala usko apna mehboob banaa lega (2) usko tandrusti ata farmaega (3) farishte uski hifazat farmaenge (4) Uske ghar mein barkat hogi (5) Uske chehre per saleheen ka noor Hoga (6) uska Dil naram ho jaega (7) woh pul sirat se bijli Ki Tarah guzar jaega (8) jahannam se nijat payega (9) jannat mein usko aise logon ka pados naseeb Hoga Jin ki shan mein yeh aya hai Ki qayamat mein unko Na koi khauf Hoga na ghamgeen honge (Mumbahat ibn hajar)

 namaz her balig musalman par din Raat mein paanch martba farz ki gai hai Allah ka hazar hazar shukr aur ehsan hai ki usne hamen musalman banaya aur Islam ki daulat se nawaza aur phir ye ke hamen Apne mehboob ki ummat mein paida farmaya lekin ham Uske itne bade bade inamat aur ehsanat ka shukr Nahin Baja la te Aur namaz Ada Nahin karte halanke Allah tala ne apne kalam Pak mein Kai bar namaz ki adaigi aur uske badle nekiyon Aur fawaid ke mutaliq bataya hai 

Doston namaz duniya Aur akhirat dono jahan ki falaah Ka Saman hai jahannam ke azab aur duniya ki musibaton ke hamlon se bachne ke liye momin ke pass namaz se behtar koi dhal nahi 

Jo namaz padhta hai Woh Allah ki panah main aajata hai aur jo shakhs Allah ki panah aur uske hifz o Aman main pahunch gaya phir kiya majal ke duniya Aur akhirat ki koi musibat bhi uska Baal beka Kar sake 

Khudi ko chhod ke mahoo namaziyon ho ja 

Ke namaz hi Teri Ada pe naaz kare

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.