sunnat aur hikmat 3
assalamu alaikum sunnat aur hikmat ki ye teesri post hai in post main ye bataya gaya hai ke nabi kareem sallahu alaihi wasallam ki sunnat par amal karne se deeni n dunyavi be shumar fawaid hasil hote hain aap sallahu alaihi wasallam ne taqreeban sadhe chauda sau saal pehle jo tareeqa (sunnat ) hamen ata kiya aur uske jo fawaid hain hamen samjha diya aaj wohi chiz scinece bata rahi hai agar ham deeni dunyavi fawaid hasil karna chahte hain to hamen nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ki sunnato par amal karna hoga aur kya kya faide hain aage ki tehrir main padhiye
raat ko jaldi sona aur subah ko jaldi uthna sunnat hai is main ye hikmat hai ke sare din ki thakan ke sabab jism ko aaram ka jald mauqa milta hai jo sehat ke liye mufeed hai aur subah ko jaldi uthne ki wajah se ek to insan sust nahi rehta aur sara din farhat mehsus karta hai aur dusra ye ke alas.sabah saaf aur taza hawa hoti hai jo phephron ke liye bahut zaroori aur sehat ke liye mufeed hai sote waqt dayan hath dayen gaal ke niche rakh kar sona sunnat hai jadeed science ki tehqiq ke mutabiq dayen pehlu sone wale ko dil ki bimariyan khas kar B P aur dil ka daura nahi hota aur dil ki harkat kabhi bhi sust nahi hoti dophar ke waqt thodi der yani qailula karna sunnat hai is waqt aaram karne se raat ke waqt ibadat karne ke liye quwwat hasil hoti hai aur tibbi etbar se dophar ke waqt aaram karna aqal ko qawi karta hai rafa hajat ke waqt bayen paon par zor dekar baithna sunnat hai hukma ka qaul hai ke rafa hajat karte waqt bayen paon par zor dene se uska asar badi aant par padta hai aur rafa hajat main aasani hoti hai is tareeqe se qabz ka tadaruk aur ilaaj hota hai aap sallallahu alaihi wasallam ne surakh par peshab karne se mana farmaya hai is main ye hikmat hai ke aisa karne se kisi nuqsan deh kide ke nikalne ka andesha hota hai (jis tarah kisi surakh main paani dalne se kai qism ke kide makode bahar nikal aate hain )khwah phir woh kida nuqsan na bhi pahunchaye kide ko to kham khah takleef uthani padi jo ke gunah hai neez peshab karne main khalal paida hoga jo bahut si bimariyon ka sabab ban sakta hai
jaari
Post a Comment