Namaz se gaflat na barten
assalamu alaikum namaz aaqil baalig musalman mard aurat par farz hai waqt ke sath aur namaz padhne ki bahut takeed aai hai aur jahan namaz adaa karne ke be shumar fazail hain duniya v aakhirat ke fayede hain wahi jo namaz nahin padhte hain kaheli susti karte hain namaz chhod dete hain waqt par ada nahi karte qaza karte hai aison ke liye sakht waeed hai aur woh sakht gunahgar azab ke mustahiq hain namaz chhorne walon ko duniya aur aakhirat main azab hai aaiye kuchh sazaon ke bare main jaan te hain ye unhain milengi jo namaz ko chhorte hain adaa nahi karte
Jis ne namaz main tasahul aur gaflat Barti use Allah tala 15 sazayen dega 5 duniya mein 3 marte waqt 3 qabr mein aur 3 qabr se nikalte waqt
Jo Sazaen duniya mein dega woh yeh hain
1) uski umar se barkat khatm kar di jayegi
2) Uske chehre se saleheen ki nishani khatm kar di jayegi
3) Jo Amal karega Allah tala use kuchh sawab Nahin dega
4) uski dua aasman tak uthne Nahin Di jayegi
5) nek bandon ki duaon mein uska kuchh hissa Nahin hoga
Maut ke waqt yeh Sazaen di jaengi
1) zaleel hokar marega
2) bhuka marega
3) pyasa marega agar duniya ke samander bhi pee jaaye to pyas na bujhegi
Aur qabr mein yeh Sazaen di jaengi
1) uski qabr tang kar di jayegi hatta ke uski pasliyan toot Kar ek dusri mein pewast hongi
2) uski qabr mein aag jalai jayegi aur woh din Raat angaron main lotega
3) uski qabr mein us par azdaha Yani sanp musallat Kar Diya jaega aur woh sanp ganja Hoga Jo sakht Zehrila Hoga uski aankhen aag ki hongi Uske nakhoon lohe ke honge har nakhoon ki lambai ek din Ka Safar hogi woh murde se kalam karega aur kahega mujhe mere Rab ne hukm diya hai ki tujhe namaz zaae karne ke jurm mein subah se lekar tulu Aftab tak marun aur tujhe namaz zaae karne par zohar se lekar asar tak marun aur tujhe namaz zaaye karne par asar se lekar magrib tak marun aur tujhe namaz zaae karne per magrib se lekar Isha tak marun aur namaz zaae karne per isha se lekar fajar tak marun aur jab woh use marega to woh zameen ke andar 70 Gaz tak dhans jaega chunanche Woh qabr mein qayamat tak hamesha azaab paata rahega
Qabar se nikalte waqt qayamat ke maidan mein yeh saza milegi
1) us par hisaab mein sakhti hogi
2) Rab tala gazab naak hoga
3) dozakh mein Jayega
Ek aur riwayat main Hai ke bani israil ki ek aurat hazrat Musa alaihissalam ke pass Aaye aur usne arz kiya aye Allah ke Nabi main ne bada sakht gunah Kiya Hai aur main ne Allah se tauba bhi kar li hai aap Allah tala se dua Karen ki mera gunah maaf kar de aur meri tauba qubool Kare hazrat Musa alaihissalam ne pucha Tera gunah kya hai usne kaha ki maine zina Kiya aur bachcha jana aur phir use qatl kar diya hazrat Musa alaihissalam ne farmaya nikal ja aye badkar kahin aasman se aag baras na pade aur teri bad.bakhti ki wajah se hamen bhi na jalade ( lihaza Woh aurat shikasta Dil ke sath wahan se nikli ) Uske bad hazrat jibrail alaihissalam tashrif farma hue aur Kaha aye Musa alaihissalam rab tala farmata Hai tune tauba karne wali ko kyon radd kar diya aye Musa alaihissalam kya main tumhen usse bhi Bura shaks na bataun hazrat Musa alaihissalam ne puchha aye jibrail alaihissalam is se Bura shaks kaun Hai to unhone farmaya Jo namaz chhod de qasdan (jaanbujhkar)
( mukashifatul.quloob)
Kisi kehne wale ne sach hi kaha hai
Jiski jabine naaz mein sajda e bandagi Nahin
shakal mein aadami sahi asal mein aadami Nahin
Post a Comment