nek fal aur bad fal
assalamu alaikum main is mazmoon main nek fali lena aur bad fali ke bare main islam main kya hukm hai kya ham nek fali le sakte hain aur bad fali ke bare main kya hukm hai nek fal aur bad fali yani bad shaguni aaiye in dono ke bare main jante hain
nek fal nek fal leni mehmood hai aur sunnat hai sarkar e do aalam sallallahu alaihi wasallam nek fal bahut liya karte the khususan logon ke namo se aur jagahon se aur bad fali bad.shaguni ek jahilana rasm aur batil hai in dono ke mutalliq mubarak hadeesen sunen hazrat abdullah bin masood radiAllahu se marvi hai ke farmaya rasool e khuda sallallahu alaihi wasallam ne ke bad shaguni shirk hai teen dafa farmaya aur nahin ham main se magar v lekin khuda tala le jata hai usko ba sabab tawakkal ke (mishkat shareef S392)
matlab ye hai ke bad shaguni mushrikon ke rasmo main se hai aur mojab e shirk khafi ka hai aur jazman aitqad kare ke yunhi hoga to bad shaguni be shak kufr hai
hazrat anas radiAllahu anhu se riwayat hai ke nabi kareem sallahu alaihi wasallam jab kisi kam ke liye nikalte to ye baat huzur ko pasand thi ke ya raashidu ya najihu sunen (mishkat s392)
matlab ye hai ke agar koi shakhs us waqt in namo se kisi ko pukarta to ye huzur aqdas sallallahu alaihi wasallam ko achchha maloom hota ke ye kamyabi aur falah ki nek fal hai
hazrat buridah radi Allahu anhu se marvi hai ke nabi kareem raoof o raheem sallallahu alaihi wasallam kisi chiz se bad shaguni nahi lete the jab kisi aamil ko bhejte to uska nam daryaft farmate agar uska nam pasand hota to khush hote aur khushi ke aasar chehra e anwar main zahir hote aur agar uska nam pasand na hota to uske aasar huzur aqdas sallallahu alaihi wasallam ke chehra e mubarak main dikhai dete aur jab kisi basti main jate to uska nam puchhte agar uska nam pasand hota to khush hote aur khushi ke aasar chehra e anwar main dikhai dete aur agar na pasand hota to karahat ke aasar chehra e anwar main dikhai dete (mishkat s392)
faidah is hadees shareef ka ye matlab nahi ke namon se aap bad shaguni lete the balke ye ke achchhe nam huzur sallallahu alaihi wasallam ko pasand the aur bure nam na pasand the
in mubarak hadeeson se maloom hua ke nek fal lena kamyabi ki daleel hai aur bad fal yani bad shaguni rasm e kuffar hai is se musalmano ko bachna chahiye
Post a Comment