qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

namaz ki khatir masjid ki taraf jaldi jane ka inaam


 namaz ki khatir masjid ki taraf jaldi jane ka inaam

assalamu alaikum namaz har aaqil balig mard aur aurat par farz e ain hai quran main Allah tala ne isko pabandi ke sath ada karne ka hukm 100 dafa ke qareeb diya hai aur huzur sallallahu alaihi wasallam ne isko deen ka sutoon aur mominin ki meraj qarar diya hai namaz hi islam ki rooh hai aur yahi woh quwwat hai jis se insan ba khushi shariat ke tamam qawanin par amal kar sakta hai namaz ke deeni aur dunyavi be shumar faide hain 

huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam farmate hain jo aadmi ghar main wazu karta hai phir jamat ki niyat se masjid ki taraf chalta hai to uske har qadam ke sath use ek neki ata farmai jati hai aur uska ek gunah mita diya jata hai yahan tak ke jab woh masjid main pahunchta hai to uske gunah muaf ho chuke hote hain aur namaz ka sawab zaid hasil ho jata hai lekin baaz riwayat main mazeed inaam ka zikr kiya gaya hai huzur sallallahu alaihi wasallam farmate hain jab qayamat ka din hoga aur Allah tala logon ko jama farmaega un main ek aisi qaum hogi jin ke chehre sitaron ki manind chamak rahe honge malaika puchhenge tumhare kya aamal the to woh kahenge ke jab ham azan sunte the to ham taharat aur wazu ke liye khade ho jate aur uske ilawa kisi kaam main mashgool na hote aur un main kuchh aise log honge jinke chehre chand ki tarah chamak rahe honge un se malaika sawal karenge 

tumhare kya aamal the to woh kahenge ke ham azan se pehle hi wazu kar liya karte the aur kuchh log aise honge jinke chehre suraj ki tarah roshan honge to jab un se puchha jayega tumhare kya aamal the to woh kahenge ke ham namaz ki taraf itne jaldi jate the ke azan masjid main hi suna karte the (durratul.waizeen)

doston zara ab apne khayalat ko zara us mushkil waqt ki taraf le jayen jahan puri nasl e aadam jama hogi aur Allah ke jalal v roab se thar thar kanp rahi hogi yahan tak ke ambiya e kiram bhi ya rabbi nafsi ya rabbi nafsi ka wird kar rahe hone to aise waqt main masjid main jakar namaz ada karne wale ko inaam v ikram se nawaza jayega to un par kya farhat v nishat ki kaifiyat tari hogi aur unki kya shan v martaba hoga hamen bhi Allah tala aise hi amal karne ki taufiq ata farmaye aamin


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.