qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

milad un nabi sallallahu alaihi wasallam ke fazail o barkat


 milad un nabi sallallahu alaihi wasallam ke fazail o barkat

milad ka maani hai wiladat ka waqt ya azeem us shan wiladat  molad ka maani bhi wiladat ka waqt hai 

ahle islam ke urf main milad ya molad se murad sayyadul.ambiya hazrat muhammad sallallahu alaihi wasallam ki wiladat ba sadat hai aur mehfil e milad ya jalsa milad ya milad confrence se murad aisa rooh parwar ijtema hai jis main sarkar e madina hazrat muhammad sallallahu alaihi wasallam ki wiladat tayyeba ke zamane main zahir hone wale ajeeb o gareeb waqiaat ka tazkira karke barkat hasil ki jayen 

zikr wiladat e nabi Allah tala ki sunnat hai Allah tala ne surah maryam main hazrat esa alaihis.salam aur surah qasas main hazrat musa alaihis.salam ki wiladat aur wiladat ke waqt un ambiya e kiram ki zahir hone wali azmaton aur shano ka zikr kiya hai is tarah sunnat e rasool sunnat e sahaba v ahle bait aur sunnat salf salehin se bhi zikr milad sabit hai aur muhaddesin ne to kutub ahadees main moludunnabi sallallahu alaihi wasallam ke unwan se abwab bandhe hain 

milad shareef ke be shumar faide aur barkat hain jin main se chand ka zikr karta hun 

1) zikr ambiya se imaan mazboot hota hai aur qalb main sibat paida hota hai aur milad e rasool sallallahu alaihi wasallam main aapke fazail v kamalat shan o azmat bayan karke imaan ko mazboot kiya jata hai 

2) Allah farmata hai quraan main (tarjuma) aap farmaden Allah tala ke fazl o rehmat ke sath pas usi par woh (ahle.imaan) khush hon ye khushi us daulat se behtar hai jo woh jama karte hain (p11)

huzur sallallahu alaihi wasallam Allah tala ki sabse badi rehmat hain aur fazle azeem hain aapki aamad ki khushi main jashn manana is aayat ki tameel hai aur shandar neki hai 

3) irshad e baari tala hai (tarjuma) be shak hamne aapko hazir o nazir aur khush khabri dene wala aur dar sunane wala bana kar bheja hai take tum Allah aur uske rasool par imaan lao aur us rasool ki izzat ke sath madad karo aur unki tazeem baja lao aur us Allah ki subah sham tasbih bayan karo (p2 6s fatah )

is aayat main besat nabvi ka ek maqsad ye bhi bayan kiya hai ke ahle imaan pyare mustafa sallallahu alaihi wasallam ki tazeem baja layen muhaddis e kabeer allama jalaluddin seuti farmate hain ke milad manana bhi aapki tazeem ka hissa hai irshad e baari tala hai :aur woh jo Allah tala ki nishaniyon ki tazeem karta hai to ye uske dil ke taqwa ki wajah se hai (p17 s hajj)

aur yaqeenan huzur sallallahu alaihi wasallam Allah tala ki sabse badi nishani hain aur aapki tazeem o tauqeer afzal tareen ibadat hai 

4) amal milad main Allah tala ki taraf se apni makhluqat ko apni nemat e uzma huzur sallallahu alaihi wasallam ata karne par uske shukr ka izhar hai goya amal milad Allah ke irshad mera shukr ada karo ki tameel hai 

5) milad shareef isha.at e ilm ka ek behtreen zaria hai is main fazail e nabvi aur seerat e mustafa ka tazkira hota hai jo ke uloom main badi fazilat wala ilm hai 

6)milad shareef se huzur sallallahu alaihi wasallam se mohabbat o aqeedat ka izhar hai hadees main hai jo kisi chiz se mohabbat rakhta  ho to uska kasrat se zikr karta hai lihaza zikr fazail o milad shareef mohabbat e nabvi ki alamat hai 

7) sadqa v khairat aur mehmano ki ziyafat umoor e khair hain jin par ajr o sawab milta hai aur barkat hasil hoti hain 

8) salat o salam se deeni dunyavi aur ukhravi barkat hasil hoti hain aur khusisi taur par bargah e nabvi main qurb milta hai hadees paak main hai tum main se qayamat ke roz mere ziyada qareeb woh hoga jisne ziyada darood shareef padha hoga aur milad shareef main kasrat ke sath darood shareef padha jata hai 

9) quran kareem ki tilawat sa.aadaat daren ke husool ka zariya hai mehfil e milad main quran ki bhi tilawat hoti hai 

10) naat khawani ko huzur sallallahu alaihi wasallam ne pasand farmaya hai naat khawan ko apni duaon se nawaza hai balke ek naat go sahabi kaab bin zahir salmi radiAllahu anhu ko apni chadar mubarak bhi ata farmai jis se musalman saat sadiyon se zaid arsa tak barkat hasil karte rahe aur bagdad shareef par halaku khan ke hamle ke waqt ye azeem nishani zaaye ho gai milad shareef main kasrat ke sath naat khwani hoti hai aur ye huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ki bargah se inaamat ke husul ka behtreen zariya hai 

11) mehfil e milad main fazail v kamalat mustafa sallallahu alaihi wasallam bayan karne se aapki itteba karne ka jazba paida hota hai 

12) hazrat muhaddis dehelvi rehmatullah alaih farmate hain main makka mukarrama main wiladat e nabi ke roz molad mubarak (jahan apki wiladat hui) main hazir hua to log darood shareef padh rahe the aur aap sallallahu alaihi wasallam ka zikr kar rahe the aur woh mojzat bayan kar rahe the jo aap sallallahu alaihi wasallam ki wiladat ke waqt zahir huye to maine us majlis main anwar o barkaat ka mushahida kiya main ne gaur kiya to maloom hua ke ye anwaar malaika ke hain jo aisi majalis main muqarrar kiye jate hain aur maine dekha ke anwar malaika aur anwar rehmat aapas main mile huye hain (fiyuzul.harmen s 27)

nazreen milad e mustafa sallallahu alaihi wasallam manana  quran o sunnat par amal karna hai aur ajr o sawab khair o barkat hasil karne ka zariya hai 


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.