masjid main dakhil hone ka islami tariqa
Smallest Font
Largest Font
masjid main dakhil hone ka islami tariqa
assalamu alaikum jab ham masjid jayen aur andar dakhil hon to kis andaz aur tareeqe se dakhil hon yahi batane wala hun to jab ham masjid main dakhil honto pehle dayan paon dakhil kare
mehboob e khuda sallallahu alaihi wasallam ka yahi tariqa tha yani masjid main dakhil hon to pehle dayan paon dakhil karna sunnat hai Allah tala ko chunke apne mehboob ki har ada mehboob hai is liye auliya e kiram har ada ka ehteram karte aur uske aamil bante hain balke ada e mehboob ke tarik yani chhorne wala unke nazdeek martaba e mehboobiyat se saqit hain aur is qabil nahi ke asrar e mohabbat ke hamil ban saken bagdad shareef ki kisi masjid main ek sahab ne bahar se aakar qayam farmaya shehar main rafta rafta shohrat ho gai ke ek buzurg fala masjid main ronaq afroz huye hain karamaton ka zahoor ho raha hai un buzurg ki tashreef aawri ki khabar hazrat makhdum junaid radiAllahu anhu tak pahunchi makhdoom ne apne ek rafiq se shauq e mulaqat ka izhar farmaya aur unhain apne sath lekar mulaqat ke liye rawana huye woh buzurg kisi zarurat ke ma tehat masjid se bahar nikal kar baad faragat masjid main dakhil ho rahe the ke makhdoom wahan pahunche aur dekha ke un buzurg ne masjid main jate waqt pehle bayan paon dakhil kiya makhdoom ye dekh kar bagair mulaqat wapas ho gaye app ke sath jo shakh sath main gaya tha jab dekha ke makhdoom bagair mulaqat wapas ho gaye to usne arz kiya ke aap to bade ishteyaq ke sath mulaqat ke liye tashreef laye the aur ab bagair mulaqat kyon wapas ho rahe hain farmaya ye sunkar hazir ho rahe the ke buzurg waqif e asrar e ilahi hain lekin mushahida main ye baat aai ke aadab e rasool par aamil nahi aur jo aadab e rasool par amal pera na ho woh asrar e ilahi ka hamil nahi ho sakta
masjid main dakhil hone par kya padhe jab masjid main dakhil hoto ye dua padhe Allahummaf tahli abwaba rehmateka yani aye Allah mere liye khol de apni rehmat ke darwaze
masjid se bahar nikalte waqt pehle bayan paon nikale kyonke mehboob e khuda sallallahu alaihi wasallam ka yahi tareeqa tha aur bahar masjid se nikalte waqt ye dua padhe Allahumma inni as.aluka min fadlika tarjuma aye Allah main tujh se tere fazl ka sawal karta hun
doston aapne jan liya ke majsid main andar dakhil hone aur bahar nikalne ka sunnat tareeqa kya hai to main ye kahunga ke jab bhi aap masjid jayen to dakhil hone se pehle dua padhen aur sunnat par amal karte huye pehle dayan paon dakhil karen aur isi tarah jab bahar niklen to dua padh kar pehle bayan qadam bahar nikale .
Allah se dua hai ke ham sab ko nabi sallallahu alaihi wasallam ki sunnat par amal ki taufiq ata farmaye aamin