qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

janaza ki namaz masjid main makruh hai

janaza ki namaz masjid main makruh hai

assalamu alaikum hame is ka janna bahut zaruri hai matlab masjid main janaza ki namaz ke bare main masjid main namaz e janaza mutlaqan makruh tehrimi hai khawah mayyat masjid ke andar ho ya bahar sab namazi masjid ke andar hon ya baaz kyunke hadees shareef main namaz e janaza masjid main padhne ki mumaniat aai hai shar e aam  yani woh rasta jis par chalne ki sab ko ijazat ho aur dusre ki zameen par namaz e janaza padhna mana hai jabke malik e zameen mana karta ho 
mas.ala juma ke din kisi ka inteqal hua to agar juma se pehle tajhiz v takfin ho sake to pehle hi kar len is khyal se rok rakhna ke juma ke baad majma ziyada hoga makrooh hai 
agar magrib ke time janaza aaya to farz v sunnaten padh kar namaz e janaza padhen yunhi kisi aur farz namaz ke waqt janaza aaye aur jamat tayar ho to farz o sunnat padh kar namaz e janaza padhen ba sharte ke janaza ki takhir main jism kharab hone ka andesha na ho 
mas.ala namaz eid ke waqt janaza aaya to pehle eid ki namaz padhen phir janaza phir khutba aur agar gehen ki namaz ke waqt aaye to pehle janaza phir gehen ki namaz 
mas.ala  musalman mard ya aurat ka bachcha zinda paida hua yani aksar hissa bahar hone ke waqt zinda tha phir mar gaya to usko gusl o kafan denge aur uski namaz padhenge warna use waise hi nehlakar ek kapde main lapet kar dafan kar denge uske liye gusl o kafan ba.tareeq masnoon nahin aur namaz bhi uski nahi padhi jayegi yahan tak ke sar jab bahar hua tha us waqt chikhta tha magar aksar hissa nikalne se peshtar mar gaya to namaz na padhi jayegi aksar ki miqdar ye hai ke sar ki janib se ho to sine tak aksar hai aur paon ki jani se ho to kamar tak aksar hai 
mas.ala bachche ki maa ya daai ne zinda paida hone ki shahadat di to uski namaz e janaza padhi jayegi magar waris hone ke bare main unki gawahi motbar nahi yani bachcha apne baap faut shuda ka waris qarar nahi diya jayega na bachche ki waris uski maa hogi ye hukm us waqt hai ke khud bahar nikla ho aur agar kisi ne hamla ke shikam par zarb lagai ke bachcha mara hua bahar nikla to waris hoga aur waris banayega 
agar bachcha mara paida ho to kya uska naam rakha jayega to bachcha zinda paida ho ya murda uski khilqat tamam ho ya na tamam behar haaal uska naam rakha jaye aur qayamat ke din uska hashr hoga 
mas.ala musalman ka bachcha kafira se paida hua aur woh uski mankuha na thi yani woh bachcha zina ka hai to uski namaz padhi jaye (ba.hawala nizam e shariat)
nazreen mujhe ummid hai is terir ko padh kar apki malumat main izafa hua hoga  |


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.