zameen aur aasman ki nematen
Allah ta’ala ki qudrat aur uski bani hui makhlooq par ghour o fikr karna imaan ko mazboot karta hai. ye zameen jis par ham rehte hain aur ye aasman jo hamare upar chhat ki tarah hai, dono Allah ta’ala ki azeem nishaniyan hain. quran e paak main kai maqamat par aasman o zameen ki paidaish ka zikr aaya hai. is mazmoon main isi baat ko bayan kiya gaya hai ke Allah ta’ala ne aasman aur zameen ko kis tarah aur kitne dino main paida farmaya.
aasman o zameen ki paidaish 6 dino main
Allah ta’ala ne saat aasman aur saat zameeno ko sirf 6 din main paida farmaya jaisa ke irshad e bari ta’ala hai wohi hai jisne aasman aur zameen chhah din main paida kiye phir arsh par istawa farmaya jaisa uski shan ke laiq hai (p27 s hadeed)
Allah hai jis ne aasman aur zameen aur jo kuchh unke bich main hai 6 din main banaye phir arsh par istawa farmaya jaisa ke uski shan ke laiq hai (p21 s sajdah)
beshak tumhara rab Allah hai jis ne aasman aur zameen 6 din main banaye phir arsh par istawa farmaya jaisa ke uski shan ke laiq hai kaam ki tadbeer farmata hai(p11 s yunus)
beshak tumhara rab Allah hai jisne aasman aur zameen 6 din main banaye phir arsh par istawa farmaya jaisa uski shan ke laiq hai (p8 s eraf)
aur wahi hai jisne aasmano zameen ko 6 din main banaya aur uska arsh pani par tha (p12 s hood)
tafseer aur hikmat
tafseer: 6 din se duniya ke 6 dino ki miqdar murad hai kyonke ye din us waqt to nahi the aaftab hi na tha jis se din hota hai sane haqiqi qadir tha ke ek lamha ya us se bhi kam main paida farmata lekin itne arsa main unki paidaish farmana ba taqaza e hikmat hai aur us se bandon ko apne kamon main tadreej yani aahistgi darja ba darja rafta rafta ikhteyar karne ka sabaq milta hai
makhlooq ki ibteda kis din hui
chunanche qadir e mutlaq ne makhlooq ki ibteda itwar ko farmai aur zameen ko itwar aur peer do dino main paida farmaya aur pahad darakht zira.at aur haiwanat ko mangal aur budh ke roz paida farmaya aur aasmano ko jumerat aur juma ke din paida farmaya (tafseer)
aasman aur zameen kis chiz se banaye gaye
aasman aur zameen kis chiz se banaye gaye qadir e mutlaq ne ek johar paida farmaya aur us par roab o jalal se nazar farmai pas wo pani ban gaya us pani se ek dhuan utha us se aasman banaye quran main hai aur 7 aasman banaye har aasman ke darmiyan 500 sal ki musafat hai aur isi pani se ek jhag uthi aur us jagah jama hui jahan ab kaba shareef hai phir usko charon taraf failaya gaya to zameen ban gai sabit hua ke kaba shareef markaz e aalam hai isi liye makka shareef ka naam ummul qura rakha gaya hai phir zameen par pahad rakhe gaye take woh harkat na kare pehla pahad zameen par abu qubes paida kiya gaya aur phir usko faila kar dusre pahad banaye gaye hadees shareef main hai zameen ka pehla tukda baitullah shareef ki jagah rakha gaya aur phir usko failaya gaya aur pehla pahad jo Allah ta’ala ne ruye zameen par rakha woh abu qubes hai aur phir us se aur pahad failaye gaye (jam e sageer )
khatma
Allah ta’ala ki qudrat be misaal hai. aasman o zameen ki paidaish aur unka nizam is baat ki wazeh daleel hai ke Allah ta’ala har chiz par qadir hai. hame chahiye ke hum Allah ta’ala ki in azeem nematon par ghour karen aur uski qudrat ko pehchan kar uski ibadat aur farmabardari main zindagi guzaren. Allah ta’ala hame apni qudrat ki nishaniyon se naseehat hasil karne ki taufiq ata farmae. aamin.

