ISLAMI SHAKAL AUR LIBAS
islami shakal ye hai ke sar ke baal ya to sab rakhae ya sab katwade ya sab mundae kuchh baal rakhna kuchh katwana mana hain jise ham angrezi cut kehte hain aur jiske kul baal rakhen hon woh ya to kaan ki lau tak ya kandhon tak rakhe yani ba bagosh ya ta badosh ke ye sunnat hai aur ziyada lambe baal rakhna aur usmain choti mang aurton ki tarah karna mana hai munchh is qadar katna zaroori hai ke uper ke hont ki dori khul jaye bilkul na katwana mana hai aur dadhi ek muthi rakhna zaroori hai yani thudi ke niche jo baal hain unko apni muthi main pakde jo muthi ke aage nikle hon woh katwa de yani muthi se kam karna bhi mana aur muthi se ziyada lambi rakhna bhi mana hai ab rahi aas paas ki darhi yani jabdon par ke baal woh jis qadar gol daire main aajaye woh na katwae aur jo daire se nikal jayen woh katwade yani jab ke thuri ke niche ke baal ek muthi lambe baal hon aur iske daire main jis qadar baal aajayen uska katwana bhi mana hai naak ke baal katwana aur bagal ke baal ukhedna sunnat hai agar bagal ke baal bhi ustare se monde jayen to bhi haraj nahi naaf ke niche ke baal mondna sunnat hai kainchi se katna nahusat ka sabab hai hathon paon ke nakhun katwana bhi sunnat hai behtar ye hai ke sare kaam har hafta main ek baar zaroor kare agar har hafta na kar sake to chalis din se ziyada der na lagaye mard ko zinat keliye apne hath paun main menhdi lagana mana hai
Post a Comment