qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

ek nazar idher bhi


paigam aaj ki zaroorat

assalamualaikum nazreen ye ek haqeeqat hai jo aap abhi padhengen waise ham apne aapko kitna hi kamyab samajhen lekin ham tab tak kamyab nahi ho sakte jab tak ham dusron ke liye bhala aur unki madad nahi kar sakte 

Tarjihat jis qaum ke fuqra aur gurba Ke paas rhne ke liye makanat na ho aur wahan jalsa aur juloos main lakhon rupye kharch hote hon kya woh qaum taraqqi kar Sakti hai ? ...,......... Jis qaum main pados ki beti kanwari bethi ho aur bewaoun aur yateemon ke liye koi nazam na ho aur qaum ke Daulat mand log Umrah par Umrah kar rahe hon kya woh qaum taraqqi kar Sakti hai..? ..........,.. Jis qaum ke Gareeb bimaron ke paas ilaaj ka koi bandobast na ho aur qaum ke doctor ki fee's gair qaum ke doctors se zyada hon kya woh qaum taraqqi kar Sakti hai..? ............. Jis qaum ke honhar nojawan be rozgari ke shikar hon aur qaum ke maldar log mehallat sajane aur Sanwar ne main page ho kya woh qaum taraqqi kar Sakti hai..? ............. Jis qaum ke log apne imam aur mozzin ka khoon choos rahe hon aur masjiden sang marmar se sajai ja rahi hon kya woh qaum taraqqi kar Sakti hai..?


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.