Gaib Kya Hai
Assalamu alaikum ham ahle sunnat hain aur hamara aqeeda v imaan hai ke Allah ki ataa se nabi sallallahu alaihi wasallam gaib jaante hain. gaib kya hai kise kehte hain padhiye is post mein
Gaib Ki Tareef
gaib se murad woh chizen hain jo hawas aur badahat aqal ki pahunch se bala tar hon
jaise zaat bari tala, Allah tala ki wahi, malaika, jannat v dozakh, aur qabr ka jannat ka bag ya dozakh ka garha banna wagairah.
Ilm-e-Gaib Aur Allah Ki Sifat
Allah tala ki digar sifat ki tarah ilm gaib bhi Allah tala ki zati sifat hai
aur Allah tala ki ata ke bagair ilm e gaib kisi ko hasil nahi hota
jab huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ke bare main kaha jata hai ke aap sallallahu alaihi wasallam
dana e goyoob hain to is se murad atai ilm e gaib hota hai
Quran Se Daleel
quran main hai Allah tala apne gaib par kisi ko musallat nahi karta ma siwae apne pasandida rasool ke (surah jin)
is se huzur nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ke liye atai ilm e gaib ka saboot azhar minash shams hai
Hadees Se Daleel
aur tibrani shareef kanzulumal ki hadees main hai
be shak Allah tala ne duniya ko mere samne rakh diya hai main use qyamat tak jo kuchh is main hone wala hai ko
is tarah dekh raha hun jaisa ke apni hatheli ko.
Ishq-e-Rasool Ka Izhar
khatma
Doston, is mazmoon se yeh wazeh hota hai ke ilm-e-gaib asal mein Allah Ta’ala ki zati sifat hai, lekin Allah apne pasandida Rasool ko ilm-e-gaib ata farmata hai. Humein chahiye ke apne aqeede ko mazboot rakhein aur ilm ke sath deen ko samajhne ki koshish karein. Allah Ta’ala humein sahi samajh aur amal ki taufeeq ata farmaaye. Aameen!

