qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

Insaniyat Ki Misal

 

Insaniyat Ki Misal

Ek dusre ki madad karna mushkil waqt mein kam aana aur gam main sharik hona yahi insaaniyat hai aur is insaniyat ki misal hamen garib nawaz rahmatullah ki Amal mein milati hai ek martaba garib nawaz Eid ki namaz padhne ke liye ye ja rahe the raste mein ek andha ladka purane kapde pehne hue sadak kinare khade hokar ro Raha tha aur garib nawaz us ladke ke pass gaye aur Kaha aaj Eid ka din hai tum purane kapde pehne hue ho aur RO rahe ho Eid ki namaz padhne Nahin ja rahe ho iski wajah kya hai ladke ne rote hue Kaha naye kapde to wah pehne jiske man baap zinda ho aur khushiyan wah manaye jiske Bhai bahan ho mere to na man baap hain aur na Bhai bahan hai isiliye main ro raha hun garib nawaz rahmatullah ne jab suna Uske sar per hath phera aur Kaha mein jab tak ke tumhe man baap bhai behan wali khushi Na diladu us waqt tak main bhi Eid ki namaz  Ada Nahi karunga garib nawaz ne us ladke ko Apne Ghar le Gaye aur apni Ammi se Sara waqia  sunaya aur Kaha jab tak ki is ladke ko naye kapde man baap Ka pyar Na mil jaaye Bhai bahan Ka pyar Na mil jaaye main bhi Eid ki namaz Nahin padhunga garib nawaz us ladke ko Nehlaya dhulaya aur use apna bhai banaye iske bad Eid ki namaz padhne ke liye jaane lage to us ladke ki aankhon mein aansu ki jagah Khushi thi chehra Khushi se chamak raha tha dekhne wale Nahin pahchan pa rahe the ki yah wahi ladka hai jo kuchh der pahle ro Raha tha purane kapde pahna tha garib nawaz ne us ladke ki madad ki Uske gam main sharik huye  aur use khushiyan di isee tarike se ham bhi ek dusre ki madad Karke Khushi baten

Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.