kamil iman ki misal
Assalamu alaikum doston aap sabhi Sarkar ala hazrat se waqif honge jinka mazar Sharif Bareilly Sharif mein hai ek bar ka waqia hai ala hazrat Ka Samaat Karen sarkar ala hazrat ne apni sari jindagi mein kabhi kisi gustakh rasool bad aqeeda ke hath mein apna hath nahin diya yah Shan hai ala hazrat ki ek martaba aap bimar ho Gaye aur bimari ne Siddat pakad li aaspaas ke Hakeemo se ilaaj chal raha tha lekin fayda Nahin ho raha tha to unke ilaaj ke liye ek Lucknow ke a Hakeem Sahab ko Bareilly Sharif laya Gaya ala hazrat ke ilaaj ke liye jab Hakeem Sahab ala hazrat ke qareeb Gaye to aapse kaha ke aap apna hath dijiye ye mujhe nabz check karni hai mere ala hazrat ne Kaha pahle aap apna aqeeda bataen Hakeem Sahab bole nabz Ka aqeede se kya talluq sarkar e ala hazrat ne farmaya alhamdulillah is faqeer ne apna hath gaus e aazam ke hath main Diya hai aaj tak Kisi bad.aqeedah ke hath main apna hath Nahi Diya hai isiliye pehle aap apna aqeeda batayen Hakeem Sahab bole main kya aqeedah bataun apna kis masle pe bataun ala hazrat ne farmaya Hakeem Sahab kya kehte Hain aap Ashraf Ali thanvi gangohi qasim nanotvi inke bare main apka aqeedah kya hai Hakeem Sahab bole hazrat inke bare main mujhe kuchh Nahi pata ala hazrat ne farmaya ke Hakeem Sahab Ka rehne Ka intezam kiya jaaye aur Ashraf Ali thanvi qasim nanotvi gangohi ki likhi hui kitaben hifzul Iman tehzirunnas ye inhi logon ki likhi hui kitaben hain pehle aaj sham ko aap in kitabon ko pehle padhiye kal phir mere paas aana phir batana ke kya aqeedah hai in logon ke bare main aapka Hakeem Sahab Raat Bhar kitaben padhte rahe subah jab aaye to ala hazrat ne farmaya Hakeem Sahab ab bataiye kya aqeedah hai in logon ke bare main aapka Hakeem Sahab bole hazrat yah aise bad tarin KAFIR Hain Jo inke KUFR pe shak kare wah bhi KAFIR mere ala hazrat ne farmaya ab aap meri nabz check kar sakte hain Hakeem Sahab bole hazrat main to aapka ilaaj karne Aaya tha aapane Mera hi ilaaj Kar Diya aajkal log gustakh e rasool jo hain us firqe main apne bete betiyon ki shadi kar rahe hain aur kehte hain kuchh nahi ye sab Maulana logo ki baten hain aapas main ladane wali ham log to sab musalman hi to hain are socho jo gustakh e rasool hoga woh musalman bacha hi kab .
Post a Comment