NAMAZ MOMIN KI MERAJ HAI
Assalaamu Alaikum Naazareen jaisa ke har musalamaan par paanch taim kee namaaz farz hai jisaka padhana zarooree hai aur namaaz kee badee fazeelat hai aur bahut se phaayade hain. Aaiye namaz ki azmat aur uski ruhani barkaton ke bare main padhen aur apne dilon ko roshan karen.
Namaz Ki Fazilat Aur Azmat
Namaz saadat hai. Namaz ibadat hai. Namaz Allah ki bargah main ruhani riyazat hai. Namaz bandagi ka izhar hai. Namaz bande ka khaliq ke huzur aajzi ka iqrar hai.
Aur kamal yahi hai ke kaynat ke andar jo jhukta hai woh sahibe waqar nahi hota hai lekin namaz main jo khush bakht Allah ki bargah main jab jhukne ki aakhri had ko chhuta hai aur sar sajde main rakhta hai aur subhana rabbi al aala pukarta hai to wahin use basharat e nabvi Sallallahu Alaihi Wasallam milti hai ki namaz momin ki meraj hai aur tumne us meraj ke aakhri zine ko chhu liya. Sub,hanAllah.
Namaz Momin Ki Meraj
Namaz Allah ki taraf se aashiqane Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye sab se bada tohfa hai aur iske maqam ke kya kehne.
Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne to apni chashman e mubarak se Allah ka deedar karke meraj ka taj e noor zeb e sar kiya lekin ummat ko ye khush khabri sunadi ke mujhe jis meraj ki rif,at mili hai us se main tumhain mehroom nahi rakhna chahta.
Tum namaz ke noor main doob jao ye tumhari meraj hai. Tum ruku aur sujud se dilon ko sukoon de lo ye tumhari meraj hai. Tum apni zabine neyaz se sajdah haye shauq ki tasveer ban jao ye tumhari meraj hai. Sub,hanAllah.
Khatma
Allah Taala humein paanch waqt ki namaz ki pabandi naseeb farmaye aur namaz ki haqeeqi lazzat aur noor se hamare dilon ko roshan farmaye. Allah humein namaz ke zariye apna qurb ata farmaye. Aameen.

