ASAL MURAD HAZRI US PAAK DAR KI HAI
ASSALAMU ALAIKUM HAR SUNNI IMAAN WALE KI KHWAHISH HAI KE ZINDAGI MAIN EK BAR ROZA E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI ZIYARAT
HO JAYE AUR HO BHI KYON NA KE MERE AAQA SALLALLAU ALAIHI WASALLAM NE SUNNI MOMIN MUSALMANO KO BASHARAT ATA FARMADI HAI
=JISNE MERI QABR KI ZIYARAT KI USKE LIYE MERI SHAFA,AT WAJIB HO GAI=(sunan dar qutni 351/2)
subhanAllah jisne chahe woh mard ho aurat ho paas ka ho door ka ho qayamat tak jis momin musalman ne nabi kareem sallahu alaihi wasallam
ki qabr mubarak ki ziyarat ki uske liye shafa,at ki basharat hai
aur ek baat batata chaloon PEHLE HAJ YA ZIYARAT E MADEENA to iska jawab aap ko hazrat sadarus,sharia ke farman se deta hoon
hazrat sadarus,sharia mufti mohammad amjad ali farmate hain
haj agar farz hai to haj karke madeena tayyaba hazir ho haan agar madeena tayyaba rastah main ho to bagair ziyarat haj ko jana
sakht mehroomi v qasawat e qalbi hai aur is hazri ko qubool e haj v sadat e deeni v dunyavi ke liye zariya e waseela qarar de
aur haj nafil ho to ikhteyar hai ke pehle haj se paak saaf hokar mehboob ke darbar main hazir ho ya sarkar main pehle hazri dekar
haj ki maqbooliyat v nooraniyat ke liye waseela kare garz jo pehle ikhteyar kare use ikhteyar kare
magar niyat khair darkar hai ke aamal ka madar niyat par hai aur har ek ke liye woh hai jo usne niyat ki (bahar e shariat 1222/1)
aur farmate hain ziyarat e aqdas qareeb ba wajib hai(bahar e shareeat 1221/1)
ALLAH HAMEN BAR BAR US PAAK DAR KI HAZRI NASEEB FARMAE AAMIN
Post a Comment