hazarat sufiyaan suri rehmatullah alaih ka irshad
assalamu alaikum darood shareef ki barkat v fazilat bahut hai jo ek baar nabi sallallahu alaihi wasallam par ek baar darood bhejta hai Allah us par das rehmaten nazil farmata hai das darjat baland farmata hai das gunahon ko mitata hai darood shareef ki hi barkat se ek siyah chehra gora ho gaya padhiye
hazarat sufiyaan suri rehmatullah alaih ka irshad. hazarat sufiyaan suri farmate hain main ne dekha ek shakhs haj mein har mukaam par darood shareef padh raha hai main ne us se iski wajah daryaft ki to us ne kaha ki safar main mere walid ka inteqal ho gaya main tanha tha aur mere walid ka munh kala ho gaya tha sakht fikr mand tha ilaahi kya karoon isi kashmakash main aankh lag gai aur khwab main huzoor sallallaahu alaihi wasallam ki ziyaarat se musarraf hua phir main ne dekha ki mere baap ki surat theek ho gai us ke baad main ne arz ki sarakar yah kya to aap ne farmaya tumhara baap sakht mujrim tha magar darood shareef kasrat se padhta tha. us aadami ne hazrat sufiyaan suri se kaha tab se main darood shareef ka wird karta hoon " (ruhul bayaan) subhaanAllaah sabaq darood shareef ki barkat se mujrim ka kaala chehra roshan ho gaya aur nabi kareem sallallaahu alaihi wasallam ne inaam aur ikaraam ki baarish ata farmadi .
Post a Comment