Islami maloomat
BID,AT V MUNKIRATmard ka kandhe tak baal rakhna sunnat se sabit hai magar is se ziyada badhana haram hai (ahkam e shariyat h1 s127)
khutbe ki azan ke baad khutbe se pehle ya baad main urdu main uska tarjuma bayan karna khilaf e sunnat hai (radd e bidatv munkirat s298)
mard ko 4.3 gram kam ki chandi ki ek anguthi ek nag ki pehanna hi jaiz hai ek anguthi main kai nag hon ya kai anguthi pehne ye jaiz nahi aurton ke liye sone chandi main koi qaid nahi (fatwa rizviya j9 s56)
agar musalman kisi kafir ya munafiq ke marne par use marhoom ya jannati kahe ya uski magfirat ki dua kare to khud kafir ho jayega (bahare shariyat h1 s55)
gair muslimon ke tyoharo main shamil hona haram hai aur agar maaz,Allah unki kufriya baton ko pasand kare ya halka hi jane jab to khud kafir hai(irfan e shariyat h1 s27)
usool e sharah 4 hain
1) quraan
2)hadees
3)ijma
4)qayas
jo in main se kisi ek ka bhi inkar kare kafir hai (fatwa mustafviyah s55)
namazi ke samne se ek taraf se aate huye dusri taraf nikal jana ye bahut bada gunah hailekin agar koi ain namazi ke samne namaz padh raha tha
aur uski namaz ho khatm ho gai to woh dain bain jidhar se chahe hatkar ja sakta hai isko hatna kahenge namaz katna nahin (bahar e shariyat h3 s156)
taaq mehrab ya darakhton main kisi buzurg ya wali ka qyam batana sarasar jihalat hai
aur wahan agarbatti mombatti jalana ya phool wagairah dalna fizool hai (ahkam e shariyat h1 s32)
baaz log namaz e janaza main takbeer ke waqt apna munh aasman ki taraf uthate hain aisa karna sakht mana hai (galat fehmiyan aur unki islah s54)
mard ko hath ya pair main menhdi lagana najaiz hai han baal ya dadhi main laga sakta hai magar kala khizab ya dai lagana dono ko hi haram hai
(bahar e shariyat h16 s205)
Post a Comment