khoobsurat waqia
darood shareef ki fazilat aur uski barkat: darood shareef ki fazilat aur uski barkat ke talluq se ye waqia padhiye imaan taza ho jayega.
darood paak padhne wali makhi ka waqia
ek din aaqa e do jahan sallallahu alaihi wasallam islami lashkar ke sath jihad ke liye tashreef le ja rahe the raste main ek jagah padao kiya aur hukm diya ke yahin par jo kuchh khana hai kha lo.
jab khana khane lage to sahaba e kiram ne arz ki ya rasoolAllah sallallahu alaihi wasallam roti ke sath salan nahi hai. phir sahaba ne dekha ke ek shehad ki makkhi hai aur bade zor zor se bhin bhinati hai.
arz ki ya rasoolAllah sallallahu alaihi wasallam ye makkhi kyon shor machati hai.
farmaya ye keh rahi hai ke makkhiyan be qarar hain is wajah se ke sahaba kiram ke pas salan nahi hai halanke yahan qareeb hi gaar main ham ne shehad ka chhtta lagaya hua hai woh kaun laye kyon ke ham to use la nahi saktin.
hazrat ali radiAllahu anhu shehad lene gaye
aaqa sallallahu alaihi wasallam ne farmaya pyare ali is makkhi ke pichhe pichhe jao aur shehad le aao.
hazrat ali ne ek pyala liya aur uske pichhe ho liye. woh makkhi aage aage us gar main pahunch gai aur aap ne wahan jakar shehad saf v musaffa nichod liye aur darbar e risalat main hazir ho gaye.
sarkar do aalam sallallahu alaihi wasallam ne woh shehad taqseem farma diya.
makhi ka jawab aur darood paak ki barkat
jab sahaba e kiram khana khane lage to makhhi phir aa gai aur bhin bhinana shuru kar diya.
sahaba e kiram ne arz ki ya rasoolAllah sallallahu alaihi wasallam makhhi phir is tarah shor kar rahi hai.
to farmaya maine is se ek sawal kiya hai aur ye uska jawab de rahi hai.
maine us se puchha hai tumhari khurak kya hai.
makhhi kehti hai ke pahadon aur biyabano main jo phool hote hain woh hamari khurak hain.
main ne puchha phool to kadwe bhi hote hain phike bhi badmaza bhi hote hain to tere munh main jakar nahayat shiri aur saf shehad kaise ban jata hai.
to makhi ne jawab diya ya rasoolAllah sallallahu alaihi wasallam hamara ek ameer aur sardar hai jab ham phoolon ka ras choosti hain to hamara ameer aap sallallahu alaihi wasallam ki zat e muqaddasa par darood padhna shuru karta hai aur ham bhi uske sath milkar darood paak padhti hain to woh badmaza kadwe phoolon ka ras darood paak ki barkat se mitha ho jata hai aur uski barkat v rehmat ki wajah se woh shehad shifa ban jata hai.
(maqasidus salekeen s53)
quran ki roshni mein darood shareef ki fazilat
be shak Allah aur uske sab farishte nabi mukarram sallallahu alaihi wasallam par darood bhejte hain.
aye imaan walon tum bhi nabi sallallahu alaihi wasallam par darood bheja karo aur khoob salam bheja karo.
khatima (ending)
darood shareef aisi azeem ibadat hai jiski barkat se kadwi cheez bhi meethi ho jati hai aur Allah tala rehmat v barkat nazil farmata hai. hamein chahiye ke har waqt apni zaban ko darood paak se tar rakhein aur apne aaqa sallallahu alaihi wasallam se sachchi mohabbat ka izhar karein.
Allah tala hamein kasrat se darood shareef padhne ki taufeeq ata farmaye. aameen.

