Firqah wariyat aur iska Sahi mafhoom
Allah Ka be had shukr v ahsan hai ki us ne hamen Apne pyare Mehboob Nabi Akram sallallahu Alaihi wasallam ka ummati banaya aur saccha maslak maslak e ahleaunnat v jamat naseeb farmaya
Be had v be hisab durood ho hamare aaqa sallallahu Alaihi wasallam per jin ke sadqe sab kuchh paida Kiya Gaya aaj ke is fitno ke bhare huye daur main bahut se gumrah firqe paida ho Gaye Hain Jo musalmano ko gumrahiyat ki taraf le ja rahe Hain ye log Apne galat aqaid v nazariyat se musalmano ko gumrah Kar rahe Hain ye log upar se musalman aur andar se pakke munafiq Hain aajkal kuchh aam duniyadar log jinko islami talimat Ka ziyada ilm Nahi Hota hai Woh unke behkawe main aakar Tarah Tarah ki baten Karten Hain
Kisi ko Bura Nahi kehna Chahiye
Firqah wariyat molviyon ke jhagde Hain
Huzur sallallahu Alaihi wasallam ne Apne ikhlaq e hasana se kuffar ko musalman banaya
Kisi ko Bura Nahi Kaha phir ye molvi ek dusre ko Bura kyon kehte Hain
Wagairah wagairah
Jo log is Tarah ki baten karte Hain Woh apni ilmi aur galat fehmi ki wajah se karte Hain
Bure ko Bura kehna Chahiye
Gustakh e rasool Ka radd Karna yani use Bura Janna Qur'an e paak se sabit hai agar ham Kisi gustakh e rasool ko Bura kahen to log naraz hote Hain Allah tala ne Qur'an paak main Puri surah
Surah lehab gustakh e rasool ke radd main nazil farmai huzur sallallahu Alaihi wasllam kafiron se isiliye ikhlaq e hasana se peah aate the ki Woh musalman ho jayen aur huzur sallallahu Alaihi wasllam rehmatul lil alamin Hain Yani aap Taman aalam Jin v ins ke liye rehmat hain lekin aap sallallahu Alaihi wasllam ne munafiqon ko Jo aapki Shan main gustakhiyan karte the naam le le Kar apni masjid se nikalwaya hai
Allah paak ne Puri surah munafiqoon unke radd main nazil farmaya hai ye Woh munafiq the Jo aap sallallahu Alaihi wasllam ke ilm e gaib aur kamalat Ka inkar karte the ISI Tarah aajkal bhi badaqeedah badmazhab bedeen log maujood Hain Jo upper se kalma padhte Hain aur andar se munafiq Hain aur huzur sallallahu Alaihi wasllam ki Shan o shaukat kamalat v ikhteyarat ilm e gaib hazir v nazir wagairah Ka inkar karte Hain har shakhs ko unke galat nazariyat Ka ilm rakhna Chahiye phir haqeeqat wazeh ho jayegi
Qur'an v Hadees se badmazhab ke radd Ka saboot
Qur'an aye gaib batane wale Nabi kafiron par aur munafiqon par jihad Karo aur un par sakhti farmao aur unka thikana jahannam hai aur kya hi Bura anjam
Surah tehrim aayat n 9 p 28
Hadees Mubarak
Jab tum Kisi badmazhab ko Dekho to Uske samne tarsh roi se peah aao isiliye ke Allah tala har badmazhab ko duahman rakhta hai
Ibn asakir j43 s337
Allah tala Kisi badmazhab Ka Na roza qubool karta hai Na namaz Na zakat Na umrah na jihad aur na koi farz Na nafil badmazhab Deen se aise Nikal jata hai Jaise gundhe huye aate se Baal Nikal jata hai
Ibn Maza s 6 kanzul umal j1 s 220
Badmazhab dozakh walo ke kutte Hain
Kanzul umal j1 s 223
Un badmazhabon se door raho aur Apne se door rakho Kahi Woh tum Hain gumrah na Kar den Kahi Woh tum Hain fitne main Na dalen
Mishkat s28 Sahi Muslim j1 S10
Bad mazhab agar bimar pad Jaye to unki iyadat Na Karo agar mar Jaye to unke janaza main shareek na ho unse mulaqat ho to unhain salam Na Karo unke Pas Na betho unke sath Pani na piyo unke sath khana Na Khao unke sath shadi biyah na Karo unki namaz e janaza Na padho aur unke sath namaz Na padho
Muslim v kanzul umal j11 s 324
Jisne Kisi bad mazhab ki izzat ki usne Islam dhane Yani girane par madad ki
Mishkat kanzul umal j1 s 219
Allah ke Mehboob sallallahu Alaihi wasllam ne farmaya hai ki badmazhabon ki sohbat unse dosti rishtedari se bacho aap sallallahu Alaihi wasllam ne unki sohbat ke nuqsanat bhi byan farmaye Hain
Ab agar koi Nabi Kareem sallallahu Alaihi wasllam ke hukm ko thukra Kar bedeenon gustakho badmazhabon se dosti rakhe to Woh zaroor gumrahi v halakat ke raste par hai
Post a Comment