qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

WAFAT KE BAAD ROOH KAHAN REHTI HAI


WAFAT KE BAAD ROOH KAHAN REHTI HAI

ASSALAMU ALAIKUM JAB TAK HAMARE JISM MAIN ROOH HAI HAM ZINDA HAIN CHALNA PHIRNA KHANA PINA UTHNA BAITHNA AUR DEEGAR KAM KAR RAHE HAIN JAHAN ROOH NE BADAN KA SATH CHHODA YANI KE HAMARE BADAN SE ROOH NIKLI USI KO MAUT KEHTE HAIN MAUT KE BAAD ROOH KAHAN REHTI HAI ISI SAWAL KA JAWAB IS POST MAI HAI PADHIYE .

sawal-maut kya hai aur marne ke baad rooh kaha rehti hai

jawab-maut ye hai ke rooh badan se nikal jaye 
lekin rooh nikal kar mit nahi jati hai balke aalam e barzakh main rehti hai 
aur imaan v amal ke etbar se har ek rooh ke liy alag jagah muqarrar hai aur qayamat aane tak wahi rahegi

Baad maut ke Rooh yahan rahti hai

kisi ki jagah arsh ke niche hai ,

kisi ki aala illiyeen main ,

kisi ki zamzam shareef main ,

kisi ki jagah uski qabr par hai ,

aur bad,karon ki rooh qaid rehti hai,

Maut ke baad Rooh ka Badan se Talluq

behar hal rooh marti ya mit.ti nahi balke baqi rehti hai aur jis hal main bhi ho aur jahan kahin bhi ho apne badan se ek tarah ka lagao rakhti hai badan ki takleef se use bhi takleef hoti hai aur badan ke aaram se aaram paati hai
jo koi qabr par aaye use dekhti pehchanti aur uski baat sunti hai (sharah sudur)

 IS BAAT KO ACHCHHE SE SAMAJHEN, YE SOCHNA KE BAAD MARNE Ke DUSRA JANAM HOTA HAI YA ROOH KISI INSAN 
YA JANWAR KE BADAN SHAREER MAIN CHALI JATI HAI BILKUL HI GALAT HAI..


Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.