qtESQxAhs26FSwGBuHHczRGOCdrb3Uf78NjGuILK
Bookmark

AZAN V IMAMAT KI FAZILAT


AZAN V IMAMAT KI FAZILAT

ASSALAMU ALAIKUM ALLAH TALA KI RAZA V KHUSHNUDI KE LIYE AZAN DENA AUR IMAMAT KARNA 
HADEES SHAREEF MAIN ISKI BADI FAZILAT  AAI HAI AUR BAHUT ZIYADA SAWAB HAI AAIYE CHAND 
EK HADEES SHAREEF URDU TARJUMA MAIN IS POST PAR PADHIYE.

jannat main aap sallallahu alaihi wasallam ne motiyon se bane huye gumbad numa kheme 
mulahiza farmaye jinki mitti mush ki thi 
aap sallallahu alaihi wasallam ne hazrat jibrail alaihis salam se daryaft farmaya 

AYE JIBRAIL YE KIS KE LIYE HAIN 

arz ki ya rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ye aapki ummat ke aimma aur mozzinin ke liye hain (al,hadees)

aap sallallahu alaihi wasallam ka irshad hai
sawab ki khatir azan dene wala us shaheed ki manind hai jo khoon main luthda hua hai aur jab
marega qabr main us ke jism main keede nahi padenge (at,targib wat,tarhib)

aap sallallahu alaihi wasallam ka irshad hai

jisne panchon namazon ki azan iman ki bina par ba niyat sawab kahi uske jo gunah pehle huye hain 
maaf ho jayenge aur jo iman ki bina par sawab ke liye apne sathiyon ki panch namazon main imamat kare 
uske pichhle gunah maaf kar diye jayenge (al,hadees

dekha aapne azan v imamat ka kitna bada inam v sawab hai lihaza jab bhi mauqa mile 
ye kar e khair karke sawab hasil karna chahiye 
Post a Comment

Post a Comment

please do not enter any spam link in the comment box.