Ad
Scroll to continue reading
Ad

AQEEQAH KYA HAI


aqeeqah kya hai

assalamu alaikum aaj aap aqeeqah kya hai usko janenge bahut se log ise hakika kehte hain ye sahi lafz nahi hai

balke sahi lafz aqeeqah hai

hamne dekh hai ke aqeeqe ke bare main bahut se log bachpan se jawan aur jawan se bude ho gaye lekin

unka aqeeqah nahi hua iski wajah ye hai ke kuchh logon ko aqeeqah ke bare main utni jankari nahi hai

lekin ab kafi logon ki malumat main izafa hote ja raha hai to aaiye aqeeqe ke bare main jante hain

aqeeqah ki tareef

bachcha paida hone ke shukr main jo janwar zibah kiya jata hai usko aqeeqah kehte hain ye mustahab hai

aqeeqah ka waqt aur tareeqa

iske liye satwan din behtar hai agar satwen din na kar saken to jab mayassar ho karen sunnat ada ho jayegi

ladke ke liye do bakre aur ladki ke liye ek bakri zibah ki jaye

yani ladke main nar janwar aur ladki main madah munasib hai

uske bar,aks main bhi harj nahi hai balke agar do na ho saken to ladke main sirf ek bakra karne main bhi harj nahi

janwar aur hisson ke masail

agar bada janwar zibah karen ..to ladke ke liye do hissa aur ladki ke liye ek hissa kafi hai

qurbani main aqeeqah ki shirkat ho sakti hai aqeeqah ke janwar ke liye bhi wahi sharten hain jo qurbani ke janwar ke liye hain

gosht taqseem karne ka tareeqa

aqeeqah ka gosht faqeeron aur azeezon aur doston ko kachcha taqseem kar diya jaye ya paka kar diya jaye

ya ba,taur ziyafat dawat khilaya jaye sab surten jaiz hain

mazeed hidayat

nek fali ke liye haddiyan na tode to behtar hai aur todna bhi na jaiz nahi

gosht ko jis tarah chahen paka sakte hain

magar meetha pakana bachche ke ikhlaq achchhe hone ki fal hai

kaun kha sakta hai

aqeeqah ka gosht maa baap dada dadi wagairah sab kha sakte hain

aqeeqah ki khal ka hukm qurbani ki khal wala hai

ending

allah taala humein aqeeqah ke masail samajhne aur is sunnat par amal karne ki taufeeq ata farmaaye. aameen!

Yah Bhi Padhen
Tag:
Latest Post
  • AQEEQAH KYA HAI
  • AQEEQAH KYA HAI
  • AQEEQAH KYA HAI
  • AQEEQAH KYA HAI
  • AQEEQAH KYA HAI
  • AQEEQAH KYA HAI
Post a Comment
Ad
Ad
Close Ads
Ad